Aye mere hamnasheen chal kaheen aur chal,
is chaman mein ab apna guzara nahin.
baat hoti gulon tak to sehlete hum,
ab to kaaton pe bhi haq hamara nahin.
jab gulistan ko khoon ki zarorat padi
sab se pehle hamari hee gardan katee,
phir bhi kehte hain humse ye ahle chaman
ye hamara chaman hai tumhara nahin.
aaj aaye ho aur kal chale jaoge
yeh muhabbat ko meri gawara nahin,
umr bhar kaa sahara bano to bano
chaar din kaa sahara sahara nahin
Submitted by: Malishka
Similar SMS Messages:
- Hasna hamara kisi ko gawara nahin hota
- Sms to ekv bahana hai
- Dekh k humein woh sar jhukate hain
- Sochne ki tumhe kya zarorat hai
- Azeem Hai Yeh Qurbat Ki Doooriyaan
- Dost mere marne ke baad…
- Na lana use mere janaze mei
- shayed wapis apna buchpan mil jai.
- koi doost ap sa piara nahi hota
- Mere Marne ke baad aey dost
- Nazar ko nazra ki isharon ne maara
- Hum rahain ya na rahain kal..

November 5th, 2007 at 9:54 pm
great wonderful