Kaash woh naghmay hamain sunaye na hote,
Aaj unko sun kar yun aansu aaye na hote.
Agar isi tarah bhool hi jaana tha,
To itni gehrai se dil me samaye na hote.
Submitted By: Sara
Kaash woh naghmay hamain sunaye na hote,
Aaj unko sun kar yun aansu aaye na hote.
Agar isi tarah bhool hi jaana tha,
To itni gehrai se dil me samaye na hote.
Submitted By: Sara
Dil me har raaz daba k rakhte hain,
Honto pay muskan saja k rakhtey hain,
Ye duniya sirf khushi main saath deti hay,
Is liye hum apne aanso chupa k rakhte hain…
Submitted By: Misbah
Har khushi kam hai,
Tera gum bhulane ke liye,
Ek tera gum hi kaafi hai,
Mujhe umr bhar rulane ke liye.
Submitted By: Sameer
Khud ko khud say ham kalam kar k daikhna,
Kitna mushkil hai yeh kaam ker k daikhna,
Kis qadar udas guzarti hain meri shamain,
Yaad kisi ko kisi shaam kar k daikhna…
Submitted By: Maheen
Tumharay pyaar main ham nay bohot zakham khaye,
Jis ka hisaab na ho sakay utnay dard paaye,
Phir bhi tere pyar ki qasam kha k kehta hon,
Hamaray lab pay tumhare liye sirf pyaar aaye
Submitted By: Mehren
Qismat rooth gayai,
Dil k taar toot gaye,
Aap jo hum say rooth gaye,
Sapnay bhi saray toot gaye,
Baki rahe khazaney main do ansu,
Yaad aap ki ayai, to woh bhi laut gaye
Submitted By: Rahul
Na mila dil ka qadardaan is zamanay main,
Yeh sheesha toot gaya hai daikhnay aur dekhanay main,
Gii main aata hai ek roz shamma say pochoon,
Maza kis main hai, jalnay main ya jalanay main…?
Submitted By: Priya
