Gazal SMS


AHL-E-Dil Youn Bhe Nibah Lete Hain
Dard Seene Main Chupa Lete Hain

Dil Ki Mehfil Main Ujaalon K Liye
Yaad Ki Shama Jala Lete Hain

Jalte Mausum Main Bhe Ye Deewane
Kuch Haseen Phool Khila Lete Hain
Read the rest of this entry »

Wo Khuwaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin
magar iss dil ko kyaa huaa, kyon bujh gayaa pataa nahin

har ek din udaas din tamaam shab udaasiyaan
kisi se kyaa bichar gaye k jaise kuchh bachaa nahin

wo saath thaa to manzilen nazar nazar chiraaG thin
qadam qadam safar mein ab koii bhii lab duaa nahin
Read the rest of this entry »

usey yaad ker k na dil dukha, jo guzar gia wo guzar gia,
kahan lout ker koi ayai ga, jo guzar gia wo guzar gia,

Nayai subah hay, nayai shaab hay, naya shahar hay, naya naam hai,
Woh chala gaya usay bhool jaa, jo guzar gia woh guzar gia,

Koi ayai ga koi jayai ga, koi jayai ga koi ayai ga,
Suno raston ki sada, jo guzar gaya wo guzar gia,
Read the rest of this entry »

Khush haal se tum bhi lagtey ho
Yoon afsurda to hum bhi nahi
Per janeny waley jantey hain
Khush hum bhi nahi khush tum bhi nahi

Tum apni khudi ke pahrey main
Aur daam-e-garoor main jakrey howay
Hum apney zayam ke narghey main
Anaa haath hamara pakrey howay
Read the rest of this entry »

Har ek lamha naya ik imtehan hai,
bohut na-meharban yeh aasman hai,

Dilon per barf girti ja rahi hai,
Badan ka tajziya bhi raiga hai,

main us say baat karna chahti hon,
batao to sahi woh ab kahan hai,
Read the rest of this entry »

har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka,
har teer ko paivest rug-e-jaan nahin kertay,

Yeh masla ab ahal-e-mohabbat ka hai apna,
Mertay hain to kuch aap pay ahsaan nahin kertay,

Khat layain na layain tera hum naama bron ko,
Bus daikhtay rehtay hain paraishan nahin kartay,
Read the rest of this entry »

Mein Haqeeqat Houn Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey
Khud Jalaatey Hein Bana Kar Apna Parwaana Mujhey

Gardash-e-Dauraan Se Kehdo Housh Ke Baatein Karey!
Gham Ke Toofaanoun Se Bhi Aata Hey Takraana Mujhey
Read the rest of this entry »

Dil behal jaey tu log chor dete hain,
koi or mil jaey tu log chor dete hain,
4 din ki chandani ka kya karna,
Chandani dhal jaey tu log chor dete hain,
Qasmeen Tu Khaty hain sada sath deney ki Zehan badal jay tu log chor Read the rest of this entry »

Wo samne aye to Nazron ko Jhukaa loon ga
Dekhoon ga nahi phir bhi Tasweer bana loon ga

Aana ho to aa jao Ruswayee nahi hogi
Dekhega nahi koi Palkon mai chupa loon ga

Jo Hum per guzarni hai ek bar guzar jaye
Her Gham ki tarha Tujh ko Seene se laga loon ga
Read the rest of this entry »

Pooch Lo Tum Bhi Is Zamane Se,
Pyar Chupta Nahi Chupane Se,

Paas Aate Ho Chhute Ho Baat Karte Ho,
Kabhi Matlab Se Kabhi Bahane Se,

Pyar Dil Me Hai To Lao Zubaan Pe,
Aag Badhti Hai Ye Bujhane Se,
Read the rest of this entry »

Subscribe

    Enter your email address:

     

Google Search

Advertise

Site Stats

    7,346 posts
    62 categories
    4,490 comments
    Most recent comment by amit