Shayari SMS


Ishq hona bhi muqadar ki baat hoti hai,
Mehboob ke bina zindagi tanhaai mein roti hai,
Jeene lagte hein hum chori chori is jahaan mein,
Unki chaahat hi is dard-e-dil ki dawa hoti hai

Submitted By: Ahmar

Mujhe Har Kaam Se Pehle
Sehar Se Shaam Se Pehle
Yahi Aik Kaam Karna Hai
Tumara Naam Lena Hai,
Tumhe Ko Yaad Karna Hai

Ke Jab Bhe Dard Pena Hai
Ke Jab Bhe Zakham Sehna Hai
Gham -e-Duniya Se ghabra Kar
Mujhe Jab Jaam Lena Hai
Read the rest of this entry »

Jab saawan mein tanha bhego gay
Jab aangan khaali paao gay
Jab saahil se takraati lehron mein
Apni tanhaai mein kho jaao gay
Jab raat ke tanha daaman mein
Tum chaand ko aadha paao gay
Jab khud se baatein kartey kartey
Tum door kahin kho jaao gay
Jab dil ki baat chupaane ko
Hum se nazar tum churaao gay
“Main tum se mohabbat karta hoon”
Harr baar yeh sun_na chaaho gay
Inn sab lamhon mein jaan lena ke
“tum, tum nahi “HUM” ban jaao gay

Submitted By: Mohit

saaans tak b nahi lety tumhy sooochty waqt,
hum ny es kaaam ko b kal pe utta rakha hy,
rooothy hooo tu kuch aur hanseen lagy hooo,
hum ny ye soooch k hi tum ko khafa rakha hy.

Submitted By: Akram

Apne haathon se yun chehre ko chupate kyon ho
Mujhse sharmaate ho to saamaney aate kyon ho

Tum kabhi meri tarah kar bhi lo iqaraar-e-wafaa
Pyaar karte ho to phir pyaar chhupate kyon ho

Ashk aankhon main meri dekh ke rote kyon ho
Dil bhar aataa hai to phir dil ko dukhaate kyon ho

Roz mar mar ke mujhe jeene ko kehte kyon ho
Milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho

Submitted By: Arun

Hamari kismet yeh thee kay hamsafar bhi hamein
Wohi milay jo bohut yaad aane vale thay,

Bhalaa gamon say kahaan haar jaanay vale thay,
Ham ansuon kee taran muskuraanay vale thay,
Hamiin nay kar diya ailaane –gumraahi varna,
Hamaaray peechhay bohut loag aanay vale thay,
Main jin ko jaan kay peh-chaan bhi nhi sakta,
Kuchh aisay loag mera ghar jalaane vaale thay,
Hamari kismet yeh thee kay hamsafar bhi hamein,
Wohi milay jo bohut yaad aane vale thay

Submitted By: Karan

Kitna chaha hai tujhe kabhi ghoor to kar,
Itna to hum apne bhi talabgar na the.

Submitted by: Anne Ali

“motiyan, bela, phool, kaliyan,
dekho yaroo shad hain na,
aj tumhari salgirah hai,
dekhoo ham ko yaad hai na!”

Saahil Ki Ret Par Ek Baar Tera Naam Likha Tha Maine
Tanhai Ke Un Palon Mein Tujhe Hi Yaad Kiya Tha Maine
Saagar Ki Maujon Ne Tera Naam To Mita Diya Par
Na Mit Saka Woh Naam Jo Dil Pe Likha Tha Maine

Submitted By: Saim

Kisi na kisipe aitbar ho jata hai,
Ajnabi koi shaks yaar ho jata hai,

Khubiyo se nhi hoti mohabat hamesha,
Khamiyo se b aksar pyarho jata hai

Submitted By: Abram

Subscribe

    Enter your email address:

     

Google Search

Advertise

Site Stats

    7,346 posts
    62 categories
    4,490 comments
    Most recent comment by amit