Muskura kay aansooun ko chupaya

Category: Gazal SMS


Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya

Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya

Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya

Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya

Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya

Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya

Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya

Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya

Acha hua kay raaz khul hi gaya
Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya

Shab-o-roz chahat sila yeh hay shaiki
Dil kay tukrey huay wo chunney na aaya

Submitted by: Nisha


Similar SMS Messages:

  1. Us ne kaha tum me wo pehli sii baat nahe
  2. pyarr kiya to unki mohabbat nazar aye
  3. NAZAR HAMARY NAZER TUMHARY
  4. Itna khobsurat kiasay muskura leti ho
  5. ey chaand, tu bhi kiya ghazab
  6. Humen pyaar kurna na aaya
  7. Tum Bin Kahi Qarar Na AaeY
  8. Taza hawa ka jhoka aaya..
  9. Taza Hawa ka Jhoka Aaya…
  10. us nazar ki taraf mat dekho
  11. aap jaisa koi meri zindagi main aaye
  12. tumari dosti ko bhul jaen


Copy and Paste the code below
Email and IM
Websites
Forums
Get This

One Response to “Muskura kay aansooun ko chupaya”

  1. 1
    Jaykesh uttam from Lucknow, Uttar Pradesh, India Says:

    wonderful,
    thanks to nisha g
    from- arya kanpur

Leave a Reply